ruKH se fitrat ke hijabaat uTha deta hai
aaina TuT ke patthar ko sada deta hai
azmat-e-ahl-e-wafa aur baDha deta hai
gham-e-musalsal ho to phir gham bhi maza deta hai
dil dhaDakta hai to pahron nahin sone deta
nind aati hai to ehsas jaga deta hai
tum ne shayad kabhi is baat ko socha hoga
waqt hathon ki lakiren bhi miTa deta hai
jo mere qatl ke darpai tha na jaane kab se
aaj wo bhi mujhe jine ki dua deta hai
apne kirdar pe maujon ko bhi sharm aati hai
jab koi Dub ke sahil ka pata deta hai
gham ki taufiq bhi sab ko nahin milti 'gauhar'
ye wo neamat hai jo mushkil se KHuda deta hai
Ghazal
RuKH se fitrat ke hijabaat uTha deta hai
Gauhar Usmani