ruKH pari chashm pari zulf pari aan pari
kyun na ab nam-e-KHuda ho tere qurban pari
jhamke jhamke wo surayya ke kiran phul wo phul
bunde baale pari moti pari aur kan pari
rashk-e-KHurshid jabin abr-e-siyah si paTTi
lahr choTi ki ghazab zulf-e-pareshan pari
husn gulzar qamar shakl surahi gardan
mah-jabin seb-e-zaqan chah-e-zanaKHdan pari
mar ghamza ki bala tir-e-nigah dast-e-sinan
tegh-e-abru ki sitam tarkash-e-mizhgan pari
muskurane ki ada jaise chamak bijli ki
aan hansne ki qayamat lab-o-dandan pari
aankh masti ki bhari shoKH nigahen chanchal
qahr kajal ki khachawaT misi o pan pari
beni aur nath ka wo aalam ki chhide dil jis se
hur chunni ki jhalak gauhar-e-ghaltan pari
dhukdhuki chand si jugnu bhi sitaron ki misal
itr-dan turfa wo toDe bhi daraKHshan pari
chaak sine ka ghazab saf badan moti sa
ek taswir si kurti ka gareban pari
pusht gul-barg shikam sim kamar tar-e-nigah
san-e-billor gulawaT mein har ek ran pari
ghera pashwaz ka wo jis ke kanari qurban
chaal aafat ki nishan jumbish-e-daman pari
kya kahun us ke sarapa ki main tarif 'nazir'
qad pari dhaj pari aalam pari aur shan pari
Ghazal
RuKH pari chashm pari zulf pari aan pari
Nazeer Akbarabadi