ruKH-o-zulf ka hun fasana-KHwan yahi mashghala yahi kaam hai
mujhe din ka chain azab-e-jaan mujhe shab ki nind haram hai
tere intizar mein hai tab ye mariz-e-hijr hai jaan-ba-lab
kahin aa bhi wada-KHilaf ab ki yahan to kaam tamam hai
kahun hasraton ka hujum kya dar-e-dil tak aa ke wo bewafa
mujhe ye suna ke palaT gaya ki yahan to majma-e-am hai
na wo mehr-o-mah ki tabishen na wo aKHtaron ki numaishen
na wo aasman ki hain gardishen na wo subh hai na wo sham hai
mere dam pe ishq mein hai bani tujhe waz-o-pand ki hai paDi
mere naseha tujhe bandagi teri dosti ko salam hai
na sataen wo na sataen wo idhar aaen wo idhar aaen wo
na sahi mujhi ko balaen wo ye KHayal-o-baatil-o-KHam hai
tap-e-gham se hoti hai ab mafar ki tabib-e-marg hai chaara-gar
mera qissa aaj hai muKHtasar meri dastan tamam hai
hai kahan wo saqi-e-tund-KHu ki hai mai-kade mein ye ha-o-hu
kahin sar-nigun hain KHum-o-subu kahin shisha hai kahin jam hai
nahin dil ko fikr ye be-sabab gaya din kahan hui raat kab
mujhe roz-e-wasl hai ajab abhi subh thi abhi sham hai
na wo mehman-e-harim-e-dil na KHayal is ka muqim-e-dil
hui qata rasm-e-qadim-e-dil na payam hai na salam hai
kahin husn walon ke darmiyan ye ghazal suni to kaha ki han
ye hai nazm-e-'saqib'-e-KHush-bayan ye usi ka tarz-e-kalam hai

Ghazal
RuKH-o-zulf ka hun fasana-KHwan yahi mashghala yahi kaam hai
Saqib Lakhnavi