ruKH nazar ka kabhi idhar na hua
dil ko hasrat rahi jigar na hua
hijr ki shab to jaan-lewa thi
din judai ka bhi basar na hua
us ke alfaz dil mein chubhte hain
koi fiqra bhi be-asar na hua
bazm mein sau maqam badle hain
ruKH tumhaara kabhi udhar na hua
wasl likkha tha meri qismat mein
be-kasi dekhiye magar na hua
hijr ne dam pe ye bana di thi
hum se nala bhi raat-bhar na hua
umr-bhar us ki tak hi mein rahe
dhyan apna idhar-udhar na hua
us ke jalwe se tha jahan mamur
ghair ka zikr bhul kar na hua
us ko aashiq na samjho ai 'shankar'
jo fida us ke nam par na hua

Ghazal
RuKH nazar ka kabhi idhar na hua
Shankar Lal Shankar