اردو हिंदी
RuKH hi badal diya hai gham-e-rozgar ka | Shaahi Shayari
ruKH hi badal diya hai gham-e-rozgar ka

Ghazal

RuKH hi badal diya hai gham-e-rozgar ka

Jauhar Zahiri

;

ruKH hi badal diya hai gham-e-rozgar ka
ye hausla hai kis ke dil-e-be-qarar ka

ai baghban na phul ko chuTki se yun masal
yaad aaega bahut hi zamana bahaar ka

ai mere ishq tu hi bata kya jawab dun
wo haal puchhte hain dil-e-be-qarar ka

hum ne tumhaare ishq mein wo dagh khae hain
sine ka dagh dagh hai daman bahaar ka

tera jamal-e-husn ki mera junun-e-ishq
afsane ko na baKHsh de unwan dar ka

dar par nigah hath gareban pe dam-ba-KHud
main ek mujassama hun tere intizar ka

misl-e-kalim husn se chashmak nahin pasand
hum jaante hain jit mein pahlu hai haar ka

kab us ke naqsh-e-pa pe na meri jabin jhuki
'jauhar' raha hai mujh pe karam kirdgar ka