ruKH-e-zeba idhar nahin karta
chahta hai magar nahin karta
sochta hai magar samajhta nahin
dekhta hai nazar nahin karta
band hai us ka dar agar mujh par
kyun mujhe dar-ba-dar nahin karta
harf-e-inkar aur itna tawil
baat ko muKHtasar nahin karta
na kare shahr mein wo hai to sahi
mehrbani agar nahin karta
husn us ka usi maqam pe hai
ye musafir safar nahin karta
ja ke samjhaen kya use ki 'zafar'
tu bhi to darguzar nahin karta
Ghazal
RuKH-e-zeba idhar nahin karta
Zafar Iqbal