اردو हिंदी
RuKH-e-raushan ko be-naqab na kar | Shaahi Shayari
ruKH-e-raushan ko be-naqab na kar

Ghazal

RuKH-e-raushan ko be-naqab na kar

Shauq Bijnori

;

ruKH-e-raushan ko be-naqab na kar
dil ki duniya mein inqalab na kar

aaina rakh na samne us ke
husn KHud-bin ko la-jawab na kar

chaar-su jalwa-gar tu hi tu hai
aaina-KHana mein hijab na kar

mere naghmon mein kaif-e-gham bhar de
mujh ko minnat-kash-e-rabab na kar

meri aKHtar-shumariyan mat puchh
apne wadon ka kuchh hisab na kar

baKHt-dazon ko ro raha hun main
gham-zada par falak azab na kar

rah-e-pur-KHar hai abhi dar-pesh
aablon ka abhi hisab na kar

'shauq' hai tera muntazir kab se
ab to surat dikha hijab na kar