ruKH-e-bahaar pe aks-e-KHizan bhi kitni der
muKHalifat pe tula aasman bhi kitni der
kisi ka nam kisi ka nishan bhi kitni der
ho jism KHak to phir ustuKHwan bhi kitni der
shikast-o-reKHt ki is manzil-e-pareshan mein
yaqin ki umr bhi kitni guman bhi kitni der
bandha hai ahd jo tegh-o-gulu ke beach to phir
larazti kanpti nannhi si jaan bhi kitni der
nikal chalo hai abhi sahl rasta yaro
ki mehrban hai to ye mehrban bhi kitni der
bara-e-shab bhi kushada hai mera darwaza
ki subh aai to ye mehman bhi kitni der
suKHan-wari na sahi moajiza sahi lekin
ye tarz-e-fikr ye husn-e-bayan bhi kitni der
Ghazal
RuKH-e-bahaar pe aks-e-KHizan bhi kitni der
Nasr Ghazali