ruKH badalte hichkichate the ki Dar aisa bhi tha
hum hawa ke sath chalte the magar aisa bhi tha
lauT aati thin kai sabiq paton ki chiTThiyan
ghar badal dete the bashinde magar aisa bhi tha
wo kisi ka bhi na tha lekin tha sab ka mo'tabar
koi kya jaane ki us mein ek hunar aisa bhi tha
panw aainda ki jaanib sar guzishta ki taraf
yun bhi chalte the musafir ek safar aisa bhi tha
taulta tha ek ko ek ashya-e-masraf ki tarah
dosti thi aur andaz-e-nazar aisa bhi tha
KHud se ghafil ho ke jo pal bhar na KHud ko sochta
is bhari basti mein koi be-KHabar aisa bhi tha
har nai rut mein badal jati thi taKHti nam ki
jis ko hum apna samajhte koi ghar aisa bhi tha
Ghazal
RuKH badalte hichkichate the ki Dar aisa bhi tha
Nashtar Khaanqahi