اردو हिंदी
RuKH apna aaina mujhko bana ke dekh liya | Shaahi Shayari
ruKH apna aaina mujhko bana ke dekh liya

Ghazal

RuKH apna aaina mujhko bana ke dekh liya

Anand Narayan Mulla

;

ruKH apna aaina mujh ko bana ke dekh liya
meri nigah ke parde mein aa ke dekh liya

jo dost the unhen dushman bana ke dekh liya
zaban pe dil ki tamanna ko la ke dekh liya

haqiqat-e-gham-e-hasti ke naqsh miT na sake
tilism-KHana-e-arman bana ke dekh liya

wo be-KHabar mere soz-e-jigar se phir bhi nahin
har ek nigah pe parda gira ke dekh liya

unhen qubul nahin ishq-e-raegan apna
qadam qadam pe nigahen bichha ke dekh liya

ab aur is se siwa chahte ho kya 'mulla'
ye kam hai us ne tumhein muskura ke dekh liya