ruke hue hain jo dariya unhen rawani de
tu apne hone ki mujh ko koi nishani de
palaT ke dekh lun tujh ko to sang ho jaun
mere yaqin ko aisi koi kahani de
main shah-kar hun tera to ai KHuda ek din
ye muzhda aa ke mere ru-ba-ru zabani de
wo mere KHwabon ko aankhon se chhin leta hai
use na shahr-e-tamanna ki hukmarani de
samundaron pe baras kar na ho fana baadal
jo log pyase hain un ke labon ko pani de
hai tang meri nazar mein ye kaenat teri
mere KHuda mujhe idrak-e-la-makani de
main KHali hath milun tujh se kis tarah yarab
kitab sine pe mere bhi aasmani de

Ghazal
Ruke hue hain jo dariya unhen rawani de
Rasheeduzzafar