ruka to raaz khula kab se apne ghar mein tha 
ki mera ghar to meri haalat-e-safar mein tha 
bahut ajib sa dukh tha jo tu ne mujh ko diya 
ki ek tabassum-e-maKHfi bhi chashm-e-tar mein tha 
iraq o sham ke parde mein be-naqab hua 
tamam dahr ka dukh ek nange sar mein tha 
qadam urus-e-wafa ke kahan kahan pahunche 
hina ka rang sitaron ki rahguzar mein tha 
bas ek jurat-e-rindana arsa-e-shab mein 
palak jhapakte hi main arsa-e-sahar mein tha 
hazar rang the us ke hazar pahlu the 
juda juda wo jhalakta nazar nazar mein tha 
ba-faiz-e-bar-e-malamat jhuki kamar meri 
hara shajar tha magar shahr-e-be-samar mein tha
        Ghazal
Ruka to raaz khula kab se apne ghar mein tha
Shujaat Ali Rahi

