ruka jawab ki KHatir na kuchh sawal kiya
magar ye zoam ki har rabta bahaal kiya
thakan nahin hai kaThin raston pe chalne ki
bichhaDne walon ke dukh ne bahut niDhaal kiya
jo TuTna tha faqat dard hi ka rishta tha
to dil ne kyun bhala is baat par malal kiya
bacha ke rakhna tha ek aks apni aankhon mein
baDe jatan se unhen aaina-misal kiya
lahu mein tair gai wo ghaDi judai ki
ki jis ke zahr ne jina mera muhaal kiya
bichhaD raha tha magar muD ke dekhta bhi raha
main muskuraati rahi main ne bhi kamal kiya
KHabar thi us ko ki dasht-e-hunar se aai hun
so us ke lafzon ne zaKHmon ka indimal kiya
Ghazal
Ruka jawab ki KHatir na kuchh sawal kiya
Fatima Hasan