roz uThta hai dhuan koh-e-nida ke us par
chand chup-chap sulagta hai faza ke us par
bhig jati hai ye masum si dharti har subh
kaun rota hai batao to ghaTa ke us par
sarhad-e-jism se aage had-e-imkan se pare
shahr-e-jaan rahta hai diwar-e-ana ke us par
nekiyan banTte rahne ki saza lazim hai
para para hai badan ku-e-jaza ke us par
main ki manjdhaar mein hun kaun nikale 'shabnam'
chhup gaya wo to kahin mujh ko bula ke us par

Ghazal
Roz uThta hai dhuan koh-e-nida ke us par
Rafia Shabnam Abidi