roz sham hoti hai roz hum sanwarte hain
phul sej ke yunhi sukhte bikharte hain
dil ko toDne wale tu kahin na ruswa ho
KHair tere daman ki chashm-e-tar se Darte hain
subh TuT jata hai aaina tasawwur ka
raat bhar sitaron se apni mang bharte hain
zor aur kya chalta fasl-e-gul mein kya karte
bas yahi ki daman ko tar tar karte hain
ya kabhi ye haalat thi zaKHm-e-dil se Darte the
aur ab ye aalam hai chaaragar se Darte hain
yun tere tasawwur mein ashk-bar hain aankhen
jaise shabnamistan mein phul raqs karte hain
KHun hamein rulati hai rah ki thakan 'bano'
jab hamari nazron se karwan guzarte hain
Ghazal
Roz sham hoti hai roz hum sanwarte hain
Shakeela Bano