roz raushan rahen haalat zaruri to nahin
chandni raat ho har raat zaruri to nahin
barq gir jae agar ghar bhi jala sakti hai
us ke pahlu mein ho barsat zaruri to nahin
daman-e-ishq mein raKHshan hain hazaron KHushiyan
gham hi ho ishq ki saughat zaruri to nahin
mast aankhon se bhi hum pyas bujha sakte hain
baKHshish-e-mir-e-KHarabaat zaruri to nahin
hum ko rona hai to ro lenge kahin bhi ja kar
husn ki bazm-e-tilismat zaruri to nahin
un ki yaadon se taKHayyul ko sajae rakhiye
ho kabhi un se mulaqat zaruri to nahin
din badalte hain to rishte bhi badal jate hain
umr bhar un ki inayat zaruri to nahin
ai 'shafaq' aap hi kuchh surat-e-izhaar karen
un ki jaanib se chale baat zaruri to nahin
Ghazal
Roz raushan rahen haalat zaruri to nahin
Gopal Krishna Shafaq