اردو हिंदी
Roz-o-shab ki koi surat to bana kar rakhkhun | Shaahi Shayari
roz-o-shab ki koi surat to bana kar rakhkhun

Ghazal

Roz-o-shab ki koi surat to bana kar rakhkhun

Ada Jafri

;

roz-o-shab ki koi surat to bana kar rakhkhun
kisi lahje kisi aahaT ko saja kar rakhkhun

koi aansu sa ujala koi mahtab si yaad
ye KHazine hain inhen sab se chhupa kar rakhkhun

shor itna hai ki kuchh kah na sakungi us se
ab ye socha hai nigahon ko daba kar rakhkhun

aandhiyan haar gain jab tu KHayal aaya hai
phul ko tund hawaon se bacha kar rakhkhun

mere aanchal mein sitare hi sitare hain 'ada'
ye jo sadiyan hain judai ki saja kar rakhkhun