roz o shab ki gutthiyan aankhon ko suljhane na de
aur jaane ke liye uTThun to wo jaane na de
surmai gahra KHala be-jaan lamhon ka ghubar
main na kahta tha gul-e-manzar ko murjhane na de
ya dil-e-wahshi pe yun ehsas ki yurish na ho
ya bhari aabaadiyon ko aise virane na de
aarzu ke qahr se sanson ki kashti ko bacha
baadbanon ko hawa ke sath lahrane na de
sun raha hun der se jate hue lamhon ki chap
ab kisi ko sarhad-e-idrak tak aane na de
Ghazal
Roz o shab ki gutthiyan aankhon ko suljhane na de
Shamim Hanafi

