roz o shab is soch mein Duba rahta hun
gham ko pa kar bhi main kitna tanha hun
alsae mazi ke sukhe peD-tale
chhanw ki ummid lagae baiTha hun
abr-e-gurezan mujh par bhi bas ek nazar
rah mein teri sadiyon pyasa sahra hun
mujh se ruTh ke dur na ja paoge tum
main chaaron jaanib hun ufuq tak phaila hun
tanhai mein jab dam ghuTne lagta hai
teri tahriron ka amrit pita hun
kyun tu mujh ko galiyon galiyon DhunDe hai
main tera saya hun tujhi mein rahta hun
Ghazal
Roz o shab is soch mein Duba rahta hun
Suleman Khumar

