roz-o-shab aur nae arz-o-sama mange hai
aaj ka daur nai aab-o-hawa mange hai
apni bechaargi ki yun to hai ehsas bahut
phir bhi dil tujh se wahi ahd-e-wafa mange hai
dhup mein jhulsi hui shaKH pe afsurda kali
phul banne ke liye dast-e-saba mange hai
har koi yun to hai bar-gashta-e-haalat magar
har koi jine ki har lahza dua mange hai
aah wo walid-e-be-zar ki jawan beTi ke
sune hathon ke liye rang-e-hina mange hai
ye nae taur ye andaz mujhe ras nahin
meri tahzib wahi sharm-o-haya mange hai
sainkaDon neamaton se us ne nawaza hai tujhe
aur ab 'chand' tu allah se kya mange hai
Ghazal
Roz-o-shab aur nae arz-o-sama mange hai
Mahendra Partap Chand

