roz KHwabon mein nae rang bhara karta tha
kaun tha jo meri aankhon mein raha karta tha
ungliyan kaT ke wo apne lahu se aksar
phul patton pe mera nam likha karta tha
kaisa qatil tha jo hathon mein liye tha KHanjar
chupke chupke mere jine ki dua karta tha
hae qismat ki yahi chhoD ke jaane wala
umr bhar sath nibahenge kaha karta tha
phul sa jism sulagte hue sandal ki tarah
dil ke mandir mein sar-e-sham jala karta tha
wo jo ek lamha kisi yaad mein kaTta tha 'nazir'
dil ke jalte hue shoalon ko hawa karta tha
Ghazal
Roz KHwabon mein nae rang bhara karta tha
Nazeer Baaqri