roz khulne ki ada bhi to nahin aati hai
is taraf baad-e-saba bhi to nahin aati hai
sochta hun ki mulaqaton ko mahdud karun
in darichon se hawa bhi to nahin aati hai
ab tariqa hai yahi mund len apni aankhen
warna duniya ko haya bhi to nahin aati hai
us ki qismat mein hain barsat ke sare tewar
apne hisse mein ghaTa bhi to nahin aati hai
Ghazal
Roz khulne ki ada bhi to nahin aati hai
Shahid Latif