roz ek shaKHs chala jata hai KHwahish karta
abhi aa jaega baadal koi barish karta
ghar se nikla to jahan-zad KHuda itne the
main ana-zad bhi kis kis ki parastish karta
hum to har lafz mein jaanan teri taswir hue
is tarah kaun sa aaina sataish karta
kisi wahshat-zada aaseb ki manind hun main
ek makan mein kai namon se rihaish karta
ek na ek din to ye diwar-e-qafas girni thi
main na karta to koi aur ye shorish karta
ab jo taswir bana li to ye dhun aur lagi!
kabhi dekhun lab-e-taswir ko jumbish karta
sab andhere mein hain ek apne makan ki KHatir
kya hawaon se charaghon ki sifarish karta
aur kya mujh se teri kuza-gari chahti hai
main yahan tak to chala aaya hun gardish karta
in zaminon hi pe kya KHosha-e-gandum ke liye
aasmanon se chala aaya hun sazish karta
Ghazal
Roz ek shaKHs chala jata hai KHwahish karta
Razi Akhtar Shauq

