roz-e-wahshat hai mere shahr mein virani ki
ab koi baat nahin baat pareshani ki
mere dariya kabhi dariya bhi hua karte the
ab bhi aawaz si aati hai mujhe pani ki
aaina-KHane ke bahar wo mujhe puchhte hain
aaina-KHane mein kya baat thi hairani ki
ab ghazalan se kaho chhup ke kahin baiTh rahen
aamad aamad hai kisi ghul-e-bayabani ki
hum khule ghar ke makinon ki yahi aadat hai
hum na darban hue aur na darbani ki
yaad kar lena bahattar ki kahani 'baqi'
jang chhiD jae kisi waqt agar pani ki
Ghazal
Roz-e-wahshat hai mere shahr mein virani ki
Baqi Ahmad Puri