roz-e-KHizan chaman mein jo dekha hazar ke
ek musht par paDe the tale shaKH-sar ke
yaran-e-ham-nashin-o-rafiqan-e-dost-dar
sab aashna hain zindagi-e-mustaar ke
jab mund gai ye aankh to ai dost baad-e-marg
phaTke hai pas kaun kisi ke mazar ke
jo naqsh-e-pa rahe so rahe phir na uTh sake
'waqif' ki tarah hae gire ku-e-yar ke
Ghazal
Roz-e-KHizan chaman mein jo dekha hazar ke
Shah Waqif