اردو हिंदी
Roz-e-firaq har taraf ek intishaar tha | Shaahi Shayari
roz-e-firaq har taraf ek intishaar tha

Ghazal

Roz-e-firaq har taraf ek intishaar tha

Seemab Akbarabadi

;

roz-e-firaq har taraf ek intishaar tha
main be-qarar tha to jahan be-qarar tha

naqsh-e-tilism mera dil-e-dagh-dar tha
tha din ko phul raat ko sham-e-mazar tha

yaadash-ba-KHair yaad hain dil ki musibaten
pahlu mein ek sitam-zada-e-rozgar tha

allah re sham-e-gham mere dil ki shikastagi
taron ka TuTna bhi mujhe nagawar tha

wahshat-taraaz thi kashish-e-sham-e-be-kasi
marqad se apne dur charagh-e-mazar tha

kya dete hum kisi ko dua-e-salamti
apni hi zindagi ka kise e'tibar tha

'simab' nala kar ke pashemaniyan fuzul
wo kaam kyun kiya jo unhen nagawar tha