roz dilha-e-mai-kashan TuTe
ai KHuda jam-e-asman TuTe
dushmani is zamin ki dekho
gumbad-e-qabr-e-dostan TuTe
wasf-e-abru-e-pur-shikan jo na ho
kya ajab KHanjar-e-zaban TuTe
rang lae agar shikasta-dili
bulbulo shaKH-e-ashiyan TuTe
nikhat-e-gul se bas gaya gulshan
ghuncha kya chaTke itr-dan TuTe
KHub phaili hai bu-e-baada-e-ishq
shisha-e-dil kahan kahan TuTe
le uDegi hawa-e-baam hamein
na karenge jo nardban TuTe
qasd-e-parwaz ka jo bojh paDa
bazu-e-murgh-e-na-tawan TuTe
lucknow chal ke ji lagaun 'munir'
kis liye dil mera yahan TuTe
Ghazal
Roz dilha-e-mai-kashan TuTe
Muneer Shikohabadi

