roz aKHbar mein chhap jaane se milta kya hai
apni tashhir ke afsane mein rakkha kya hai
tum ne jis ko gham-e-ayyam kaha hai yaro
wo mere dard ka hissa hai tumhaara kya hai
jhun-jhune de ke mere hath mein koi mujh ko
qaid-e-hasti ki saza de ye tamasha kya hai
kal talak jo meri tarif kiya karta tha
aaj wo bhi mera dushman hai ye qissa kya hai
hum agar Dub bhi jaen to ubhar sakte hain
hum ko malum hai jine ka saliqa kya hai
hum ne saughat samajh kar to use apnaya
ab ye kyun sochen ki is gham ka mudawa kya hai
yun to sab log tumhein jaante honge 'anjum'
aur koi bhi na jaane to bigaDta kya hai
Ghazal
Roz aKHbar mein chhap jaane se milta kya hai
Anjum Abbasi