roya na hun jahan mein gareban ko apne phaD
aisa na koi dasht hai zalim na kui ujaD
aata hai mohtasib pa-e-tazir mai-kasho
pagDi ko us ki phenk do daDhi ko lo ukhaD
sabit tha jab talak ye gareban KHafa tha main
karte hi chaak khul gae chhati ke sab kiwaD
mere ghubar ne to tere dil mein ki hai ja
go meri musht-e-KHak se daman ki tain tu jhaD
'taban' zi-bas hawa-e-junun sar mein hai mere
ab main hun aur dasht hai ye sar hai aur pahaD
Ghazal
Roya na hun jahan mein gareban ko apne phaD
Taban Abdul Hai