اردو हिंदी
Rote rote aankh hanse to hansne do | Shaahi Shayari
rote rote aankh hanse to hansne do

Ghazal

Rote rote aankh hanse to hansne do

Qaisar Abbas

;

rote rote aankh hanse to hansne do
honTon par muskan ko zinda rahne do

KHushiyon ki rut par bhi un ke pahre hain
be-mausam ke phul khilen to khilne do

kitna gahra sannaTa hai sahil par
lahron se tufan uThe to uThne do

jaane kab wo ek musafir aa pahunche
chaukhaT par ek dip jala kar jalne do

jin KHwabon mein us ki KHushbu phaili hai
un KHwabon ko dil mein zinda rahne do

logon se kah do ummiden zinda hain
'qaisar' aansu palkon se mat girne do