rota hamein jo dekha dil us ka pighal gaya
jadu-e-chashm us but-e-pur-fan pe chal gaya
aate hi ulTe panw jo paik-e-ajal gaya
be-yar mujh ko dekh ke kya wo bhi Tal gaya
ye kis ka dhyan aa ke mera dil masal gaya
be-saKHta jo nala dahan se nikal gaya
shadi-e-wasl se gham-e-hijran badal gaya
fasl-e-bahaar aai KHizan ka amal gaya
aaya bhi gar kabhi dil-e-awara rah par
dekha jab us ko dekhte hi phir machal gaya
kyun sar-ba-KHak hai ye mera naunihaal dil
kaun aa ke pa-e-naz se is ko kuchal gaya
raaten rahin wo raaten na din hi rahe wo din
tum kya badal gae ki zamana badal gaya
ab is se kya ummid ki ye laega samar
naKHl-e-murad aatish-e-hijran se jal gaya
kahna wo un ka hae shab-e-wasl naz se
arman ab to aap ke dil ka nikal gaya
munh se to bolne mein nikalte na the sharar
kyun dil mera raqib ki baaton se jal gaya
rindon ne mai-kade mein uchhal kud ki to kya
ammama bhi to shaiKH ke sar se uchhal gaya
yaad aa gaya wo but mujhe huron ke zikr se
waiz ke waz se bhi mera kaam chal gaya
dekhe jo chikne us but-e-tauba-shikan ke gal
pa-e-sabaat-e-shaiKH bhi aaKHir phisal gaya
hai naza mein bhi gesu-e-pur-KHam ki dil mein yaad
go rassi jal gai magar us ka na bal gaya
bole fuzul mujh se hai ummid dad ki
'ranjur' jab main un ko sunane ghazal gaya

Ghazal
Rota hamein jo dekha dil us ka pighal gaya
Ranjoor Azimabadi