rose jab raat ko barah ka gajar hota hai
yatnaon ke andhere mein safar hota hai
koi rahne ki jagah hai mere sapnon ke liye
wo gharaunda hi sahi miTTi ka bhi ghar hota hai
sir se sine mein kabhi peT se panw mein kabhi
ek jagah ho to kahen dard idhar hota hai
aisa lagta hai ki uD kar bhi kahan pahunchenge
hath mein jab koi TuTa hua par hota hai
sair ke waste saDkon pe nikal aate the
ab to aakash se pathraw ka Dar hota hai
Ghazal
Rose jab raat ko barah ka gajar hota hai
Dushyant Kumar