اردو हिंदी
Rone mein abr-e-tar ki tarah chashm ko mere josh hai | Shaahi Shayari
rone mein abr-e-tar ki tarah chashm ko mere josh hai

Ghazal

Rone mein abr-e-tar ki tarah chashm ko mere josh hai

Ishq Aurangabadi

;

rone mein abr-e-tar ki tarah chashm ko mere josh hai
nala mein aah rad sa shor hai aur KHarosh hai

rad ne shor se pukar maston ko ye nawed di
tum ho kidhar ai mai-kasho mausam nae-o-nosh hai

chaak karun hun jeb-e-sabr tale-e-andalib dekh
sunne ko us ka dard-e-dil gul hi ba-shakl-e-gosh hai

kin ne chaman mein mai-kashi ki hai saba tu sach kaho
jam hai gul ke hath mein ghuncha subu ba-dosh hai

kaun diwana mar gaya us ke aza mein ab talak
us ke libas sar-ba-sar chashm siyah-posh hai

nala hai KHana-zad-e-ishq lek kahan sar-o-dimagh
apne to qafile ke bich jo hai jaras KHamosh hai