rone lage hain log rulate hue mujhe
meri hi dastan sunate hue mujhe
mere safar ko aur bhi mushkil-zada na kar
yun dur tak na dekh tu jate hue mujhe
yaro ana ki jang mein aksar yahi hua
wo haarta gaya hai haraate hue mujhe
ye kaun meri zat par ehsan kar gaya
ye kaun mar gaya hai bachate hue mujhe
ek dard aa ke mujh mein achanak Thahar gaya
roya wo jab gale se lagate hue mujhe
main bhi thaka hua tha so fauran hi bujh gaya
guzri thi ye hawa bhi bujhate hue mujhe
Ghazal
Rone lage hain log rulate hue mujhe
Kuldeep Kumar