roke se kahin hadsa-e-waqt ruka hai
shoalon se bacha shahr to shabnam se jala hai
kamra kisi manus si KHushbu se basa hai
jaise koi uTh kar abhi bistar se gaya hai
ye baat alag hai ki main jita hun abhi tak
hone ko to sau bar mera qatl hua hai
phulon ne chura li hain mujhe dekh ke aankhen
kanTon ne baDi dur se pahchan liya hai
us samt abhi KHun ke pyase hain hazaron
is samt bas ek qatra-e-KHun aur bacha hai
rudad-e-charaghan to bahut KHub hai lekin
kya jaaniye kis kis ka lahu in mein jala hai
is rang-e-taghazzul pe 'ali' chhap hai meri
ye zauq-e-suKHan mujh ko wirasat mein mila hai
Ghazal
Roke se kahin hadsa-e-waqt ruka hai
Ali Ahmad Jalili