rok rakkha tha jo in aankhon mein khaara pani 
meri diwaron mein dar aaya wo sara pani 
ek dariya ko dikhai thi kabhi pyas apni 
phir nahin manga kabhi main ne dobara pani 
apni aankhon se nichoDunga kisi roz use 
karta rahta hai bahut mujh se kinara pani 
ab ke barish pe koi haq nahin insanon ka 
ab ke chiDiyon ke liye rab ne utara pani 
main samundar se lagi shor-zamin jaisa hun 
marta rahta hai mujh ko mera khaara pani 
main ne in aankhon se kuchh moti chune the 'athar' 
mere honTon mein abhi jazb hai khaara pani
        Ghazal
Rok rakkha tha jo in aankhon mein khaara pani
Mirza Athar Zia

