rog dil ko laga gain aankhen
ek tamasha dikha gain aankhen
mil ke un ki nigah-e-jadu se
dil ko hairan bana gain aankhen
mujh ko dikhla ke rah-e-kucha-yar
kis ghazab mein phansa gain aankhen
us ne dekha tha kis nazar se mujhe
dil mein goya sama gain aankhen
mahfil-e-yar mein ba-zauq-e-nigah
lutf kya kya uTha gain aankhen
haal sunte wo kya mera 'hasrat'
wo to kahiye suna gain aankhen
Ghazal
Rog dil ko laga gain aankhen
Hasrat Mohani