ro rahi hai jis tarah ye shama parwane ke baad
aap bhi roenge mujh ko mere mar jaane ke baad
gar nahin milti sharab-e-nab aansu hi sahi
kuchh to pina chahiye furqat mein gham khane ke baad
rashk-e-jannat ban gaya tha aap ke aane se ghar
ho gaya dozaKH se bad-tar phir chale jaane ke baad
kya KHabar hum bad-nasibon ko hai kya shai-e-bahaar
hum ne to gulshan ko dekha hai ujaD jaane ke baad
kya bataen tujh ko waiz mai-kashi ke hum maze
aap ho jaenge malum ek paimane ke baad
raegan hone na do ai 'shauq' tum waqt-e-aziz
ye wo shai hai jo nahin milti hai kho jaane ke baad
Ghazal
Ro rahi hai jis tarah ye shama parwane ke baad
Shauq Dehlvi Makki