ro raha tha main bhari barsat thi
haal kya khulta andheri raat thi
mere nalon se hai barham baghban
ye KHafa hone ki koi baat thi
din nahin dekha siwa-e-sham-e-hijr
zindagi-bhar mein yahi ek raat thi
nala-o-ah-o-fughan se baDh gai
warna ulfat ek zara si baat thi
hashr tak laya jahan se dard-e-dil
kis ko deta kya koi saughat thi
band kin aankhen ki dekhun KHwab-e-subh
khol kar jab aankh dekha raat thi
ai saba ghunchon ne hans kar kya kaha
un ka qissa tha ki meri baat thi
allah allah wahdat-e-sham-e-firaq
ek meri ek us ki zat thi
aap hi gin den masaib hijr ke
yun to kahne ke liye ek raat thi
hichkiyon se raaz-e-ulfat khul gaya
aa gai munh par jo dil mein baat thi
sham-e-marqad tujh se shikwa hai mujhe
mere ghar mein bhi andheri raat thi
kuchh na kuchh 'saqib' ne paida kar liya
ye zamin to dushman-e-abyat thi

Ghazal
Ro raha tha main bhari barsat thi
Saqib Lakhnavi