bahut hi parde mein izhaar-e-arzu karte
nigahen kahti hain hum un se guftugu karte
sharab-e-nab se saqi jo hum wuzu karte
haram ke log tawaf-e-KHum-o-subu karte
wo mil ke dast-e-hinai se dil lahu karte
hum aarzu to hasin KHun-e-arzu karte
darogh-bafi-e-dushman ka haal kya khulta
jo parda chaak bhi hota to wo rafu karte
utar late unhen baam-e-tur se dil mein
hum iKHtiyar wo andaz-e-guftugu karte
Dare wo kyun mere phulon mein aati mil ke hina
ye phul KHak tamanna-e-rang-o-bu karte
kalim ko na ghash aata na tur hi jalta
dabi zaban se izhaar-e-arzu karte
jo zarf-e-ab hamein mai-kade mein mil jata
namaz kabe mein paDhte yahan wuzu karte
mah-e-siyam mein mauqa jo shab ko mil jata
to ek sans mein KHali KHum-o-subu karte
sharab pite hi sajde mein un ko girna tha
ye shaghl baiTh ke mai-nosh qibla-ru karte
har ek qatre se bahti riyaz ju-e-sharab
jo pi ke hum sar-e-zamzam kabhi wuzu karte
Ghazal
Bahut hi parde mein izhaar-e-arzu karte
Riyaz Khairabadi