اردو हिंदी
Riyasat jab bhi Dahti hai nawase dukh uThate hain | Shaahi Shayari
riyasat jab bhi Dahti hai nawase dukh uThate hain

Ghazal

Riyasat jab bhi Dahti hai nawase dukh uThate hain

Pratap Somvanshi

;

riyasat jab bhi Dahti hai nawase dukh uThate hain
kahin puncture banate hain kahin Tanga chalate hain

baDi mushkil se ye do waqt ki roTi kamate hain
sahar se sham tak footpath par qismat banate hain

jamura sar khujata hai madari hath malta hai
tamasha dekh kar bad-maash bachche bhag jate hain

kisi ke sath rahna aur us se bach ke rah lena
KHuda hi jaane kaise log ye rishta nibhate hain

hazaron log milte hain to un mein ek samajhta hai
baDi mushkil se hum bhi dosti mein sar jhukate hain