riwayaton ko kabhi tum asas mat karna
main lauT aaunga hargiz ye aas mat karna
giraft-e-KHwab se jis ne rihai di tum ko
wo KHud bhi jagta hoga qayas mat karna
bikhar rahe ho to phir TuTta bhi andar se
shikastagi ko tum apna libas mat karna
kiya ho jaan se guzarne ka faisla jis mein
us ek lamhe ko sarf-e-hiras mat karna
agarche hath mein ho kasa-e-gadai bhi
KHuda ke baad kisi ki sipas mat karna
KHizan ke war se ghabra ke ai 'jamil' kabhi
shaguft-e-gul ke liye iltimas mat karna

Ghazal
Riwayaton ko kabhi tum asas mat karna
Jameel Qureshi