اردو हिंदी
Riwayaton ka bahut ehtiram karte hain | Shaahi Shayari
riwayaton ka bahut ehtiram karte hain

Ghazal

Riwayaton ka bahut ehtiram karte hain

Mushtaq Ahmad Noori

;

riwayaton ka bahut ehtiram karte hain
ki hum buzurgon ko jhuk kar salam karte hain

har ek shaKHs ye kahta hai aur kuchh kahiye
hum apni baat ka jab iKHtitam karte hain

kabhi jalate nahin hum to barhami ka charagh
wo dushmani ki rawish roz aam karte hain

harif apna agar sar jhuka ke milta hai
to hum bhi tegh ko zeb-e-niyam karte hain

mujhe KHabar bhi nahin hai ki ek muddat se
wo mere KHana-e-dil mein qayam karte hain

haqiqaton ko jinhen sun ke wajd aa jate
kuchh aise kaam bhi un ke ghulam karte hain

sharab kam ho to 'nuri' ba-nam-e-tishna bhi
lahu nichoD ke labrez jam karte hain