rishton ki kaenat mein simTi hui hun main
muddat se apne aap ko bhuli hui hun main
main KHush-nasib hun mere apnon ka sath hai
tanhaiyon se phir bhi kyun lipTi hui hun main
dam ghonTti rahi hun tamanna ka har samay
in hasraton ki qabr sajati rahi hun main
aati hai yaad aap ki mujh ko kabhi kabhi
aisa nahin ki aap ko bhuli hui hun main
us chaara-gar ko zaKHm dikhaun ya chup rahun
is kashmakash mein aaj bhi uljhi hui hun main
hun fikrmand aaj ke haalat dekh kar
beTi ki man hun is liye sahmi hui hun main
jazbaat kaise nazm karun apne sher mein
kab se isi KHayal mein Dubi hui hun main
bekar zindagi mein ye kaisi KHalish 'siya'
sab kuchh mila hai phir bhi kami DhunDhti hun main
Ghazal
Rishton ki kaenat mein simTi hui hun main
Siya sachdev

