اردو हिंदी
Rishton ke jab tar ulajhne lagte hain | Shaahi Shayari
rishton ke jab tar ulajhne lagte hain

Ghazal

Rishton ke jab tar ulajhne lagte hain

Bharat Bhushan Pant

;

rishton ke jab tar ulajhne lagte hain
aapas mein ghar-bar ulajhne lagte hain

mazi ki aankhon mein jhank ke dekhun to
kuchh chehre har bar ulajhne lagte hain

sal mein ek aisa mausam bhi aata hai
phulon se hi KHar ulajhne lagte hain

ghar ki tanhai mein apne-ap se hum
ban kar ek diwar ulajhne lagte hain

ye sab to duniya mein hota rahta hai
hum KHud se be-kar ulajhne lagte hain

kab tak apna haal bataen logon ko
tang aa kar bimar ulajhne lagte hain

jab dariya ka koi chhor nahin milta
kashti se patwar ulajhne lagte hain

kuchh KHabron se itni wahshat hoti hai
hathon se aKHbar ulajhne lagte hain

koi kahani jab bojhal ho jati hai
naTak ke kirdar ulajhne lagte hain