rishte mein teri zulf ke hai jaan hamara
beja nahin sumbul ke upar man hamara
sarma-e-ashufta-dili jama hua hai
aa dekh sanam haal-e-pareshan hamara
jiyun surat-e-diwar hua mahw-e-tamanna
mushtaq tera hai dil-e-hairan hamara
darpesh hai hum kun safar-e-manzil-e-maqsud
bas aah-e-sahar-gah ye saman hamara
tere lab-e-shirin ki suna jab sin hikayat
kashana-e-zambur hua kan hamara
majnun ki tarah wahshi sahra-e-junun nahin
hai wusat-e-mashrab seti maidan hamara
kahte hain teri zulf kun dekh ahl-e-shariat
qurban hai is kufr par iman hamara
aazad kiye qaid sin tasbih ki us kun
hai gardan-e-zunnar pe ehsan hamara
sina ke tabaq mein hai kabab-e-dil-e-pur-soz
jis din se gham-e-hijr hai mehman hamara
ai shoKH kashish sin tere abru ki kaman ki
dil hath sin jata hai har ek aan hamara
ai jaan-e-'siraj' ek ghazal dard ki sun ja
majmua-e-ahwal hai diwan hamara
Ghazal
Rishte mein teri zulf ke hai jaan hamara
Siraj Aurangabadi