rishta jigar ka KHun-e-jigar se nahin raha
mausam tawaf-e-kucha-o-dar ka nahin raha
dil yun to gah gah sulagta hai aaj bhi
manzar magar wo raqs-e-sharar ka nahin raha
majbur ho ke jhukne laga hai yahan wahan
ye sar bhi tere KHak-ba-sar ka nahin raha
ghar ka to KHair zikr hi kya hai ki zehn mein
naqsha bhi us bhare-pure ghar ka nahin raha
bandha kisi ne raKHt-e-safar is tarah ki ab
dil ko 'fuzail' shauq safar ka nahin raha

Ghazal
Rishta jigar ka KHun-e-jigar se nahin raha
Fuzail Jafri