rishta-e-dil usi se milta hai
jo koi sadgi se milta hai
baiTh jata hai dil mera aksar
jab koi bebasi se milta hai
hae afsos mera rasta bhi
bewafa ki gali se milta hai
raaz-e-dil kya suna gaya us ko
tab se wo be-dili se milta hai
umr bhar jo mujhe sataega
har ghaDi be-kali se milta hai
bhul pana jise nahin mumkin
phul ban kar hansi se milta hai
jis ke dil mein jagah nahin meri
mera dil bhi usi se milta hai
haal-e-dil ab zaban nahin kahti
aankh ki is tari se milta hai
kya 'nisar' aaj-kal koi lamha
aap se bhi KHushi se milta hai
Ghazal
Rishta-e-dil usi se milta hai
Ahmed Nisar