rishta-e-dil bhi kisi din KHwab sa ho jaega
tere mere darmiyan wo fasla ho jaega
pili pili rut judai ki achanak aaegi
qurbaton ka sabz mausam bewafa ho jaega
aaine rangon ke KHali chhoD jaegi dhanak
hairaten rah jaengi manzar juda ho jaega
kya nishana Thik baiThega hawa-e-tez mein
jo kaman se tir niklega KHata ho jaega
teri peshani pe bhi paD jaenge talKHi se bal
meri sachchi baat par tu bhi KHafa ho jaega
ghar se niklunga hatheli par liye ujla charagh
ilm hai kali hawa ka samna ho jaega
aane wale jaane walon ka badal hote nahin
par nahin hoga jo paida ek KHala ho jaega
TuT jaega dar-e-diwar-e-zindan ka ghurur
ek aawaz aaegi qaidi riha ho jaega
main nahin to aur hi baiThega koi chhanw mein
aaj ka chhoTa sa buTa kal baDa ho jaega
aastinon se nikalenge jiyale aaftab
bol-baala raushni ke shahr ka ho jaega
chand ko DhunDengi aankhen phir na suraj ko 'rashid'
chand-suraj se talluq dusra ho jaega

Ghazal
Rishta-e-dil bhi kisi din KHwab sa ho jaega
Rasheed Kamil