rindan-e-tishna-kaam ko ja kar KHabar karen
aai bahaar abr-e-karam par nazar karen
hun munfail zarur magar ai gunah-e-ishq
ab ashk bhi nahin hain jo daman ko tar karen
be-wajh kab hai pursish-e-haal-e-shab-e-firaq
maqsad ye hai izafa-e-dard-e-jigar karen
fursat ke din hain saqi-e-mai-kash-nawaz uTh
kyun intizar-e-mausam-e-diwana-gar karen
mujh par uTha rahe hain jo mahfil mein ungliyan
apni haqiqaton pe to aaKHir nazar karen
kabe mein KHamoshi hai sanam-KHane mein sukut
surat-parast ab tere sajda kidhar karen
uf re jamal-e-jalwa-e-jaanan ki tabishen
dekhen unhen ki matam-e-tab-e-nazar karen
auraq-e-do-jahan pe bhi hoga na iKHtitam
'ehsan' sarguzasht-e-alam muKHtasar karen
Ghazal
Rindan-e-tishna-kaam ko ja kar KHabar karen
Ehsan Danish

